Bonsai tree kaise lagaye?

BONSAI ek japani word hai jise hindi me bauna kahte hai.
Jo log apartment me rahte hai unke pas tree lagane ki jagah nhi hoti hai, wo bonsai tree apni balconi me lga skte hai.

Bonsai tree ko extra care aur protection ki jarurt hoti. To chaliye ham aapko batate hai ki ise kaise lagaye.
METHOD BONSAI MANGO TREE LGANE KA:-


  1. Agar aap seed se bnana chahte hai to aapko isme bahot time lgega aur agar aap nursery se ped kharid kar late hai to isme kam time lgega.To aaj mai aapko ped se bonsai bnane ka method btati hu. Agar aap seed se bonsai bnana chahte hai to aap mera next article padh sakte hai.To chaliye start karte hai.
  2. Selection of soil- Bonsai tree lgane ke liye aisi mitti ki jarurt hoti hai jo apas me chipke nhi. To iske liye apko 30-35% compost, 35-40% retili mitti aur 30% kankar-pathar lene honge. In sabhi ko ek sath mix krke rakh lijiye.
  3. Cutting of branches- Aapne market se jo ped laya hai pahle uski cutting krte hai. Aap ise jis tarah ka shape dena chahte hai us shape me iski cutting kar lijiye.
  4. Bending with wire- Ise apne mann chahe roop me shape dene ke liye copper ya aluminium ki wire se wiring kr dijiye aur halke hatho se bend kr dijiye taki ye toote nhi.
  5. Pruning of roots- Ab jo plant hai use polybag se ya gamle se is tarike se nikaliye ki uski main jad toote nhi. Ab ped ko niche dal dijiye aur lakadi ki madad se uski mitti ko nikal dijiye aur charo taraf se uski jado ko kat dijiye taki ye gamle me jyada faile nhi.
  6. Potting- BONSAI tree lgane ke liye alag tarah ki pot aati hai jisme niche drainage ke liye badi hole hoti hai. Aap is tarah ka pot market se le sakte hai. Ab is pot me jaha pr hole hai waha par hole se thoda bada pathar dale fir thoda sa chote chote pather dale taki pot se pani achi tarah bahar nikal sake. Ab iske upar jo mitti bnai hai wo mitti aadha pot tak dale fir isme plant ko dale aur baki ki mitti upar se dal de aur thoda sa daba de taki plant ko support mil sake.
  7. Watering- BONSAI tree ko regular pani aur fertilizer ki jarurt padti hai jisse ki wo jaldi badh sake. Isliye ise regular pani dete rhe aur sal me ek bar iski repotting aur jado ki cutting krte rhe. Aur iski tahniyon aur patto ki bhi hamesha cutting karte rhe.

Comments

Popular posts from this blog

How to grow Bonsai apple tree in a pot?

Types of Theatre in India

Grow BONSAI BANANA TREE in a POT

HOW TO MAKE WATER CANDLES

Satellites launched by India in last few years

Art and Culture of India

Top best places in India to go